The controversial transcript of the audio cassette played in the Special Court in Mumbai on July 26, containing alleged telephone conversation between Pakistan-based gangster Chhota Shakeel and Sanjay Dutt, Harish Sugandh, Sanjay Gupta and Mahesh Manjrekar on Dec 14, 2000

Excerpts of the conversation between Sanjay Dutt and Chhota Shakeel



Chhota Shakeel: Salaam, salaam bhaiya kya haal hain?

Sanjay Dutt: Nashik me baitha hu main

Chhota Shakeel: Ha ha ha, achcha hain

Sanjay Dutt: Ji

Chhota Shakeel: Kya shooting chal rahi hain?

Sanjay Dutt: Nahi Shirdi gaya… Baba ke paas jaa raha hoon

Chhota Shakeel: Achcha achcha achcha… first-class

Sanjay Dutt: Ji

Chhota Shakeel: Aur kya hal hain?

Sanjay Dutt: First-class bhai. Aap kaise hain?

Chhota Shakeel: Bas maje me… Aur kya chal raha hain?

Chhota Shakeel: Mein bola bahot din huye baat nahin hui.

Sanjay Dutt: Bhai vo chip aanewala tha

Chhota Shakeel: Haa haa

Sanjay Dutt Woh kal aa raha hain abhi

Chhota Shakeel Achcha, achcha, achcha

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Kya main bhejoon

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Main bhej doon kya.

Sanjay Dutt Aap bhej do Bhai… please.

Chhota Shakeel Aa

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Woh edharwali bheju… Dubaiwali

Sanjay Dutt Ha, bhej do na Bhai

Chhota Shakeel Achcha, chalo mein Dubaiwali bhej deta hoon

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Aur kya haal hain

Sanjay Dutt First-class Bhai

Chhota Shakeel Aur kya chaal raha hai sab… shooting-beeting sab first-class…

Sanjay Dutt Bas first-class Bhai…

Chhota Shakeel Hmm… hmm… hmm

Sanjay Dutt Kaise hain aap Bhai?

Chhota Shakeel Haa haa ekdam maje mein…. Tum log sunao kya chal raha hain

Sanjay Dutt Bas chal raha hain…

Chhota Shakeel Hmm, hmm, hmm, kaun kaun hain? Akele ho ya bhabhi vageira hain

Sanjay Dutt Nahin nahin, sab dost log hi hain… Harish hain yahan pe

Chhota Shakeel Achcha Harish bhi sath mein hain

Sanjay Dutt Haan

Chhota Shakeel Haan, haan, achcha, achcha

Sanjay Dutt Ek minute… baat karo ek minute

Chhota Shakeel Haa haa



(Sanjay Dutt hands over phone to Harish Sugandh)



Harish Sugandh: Hello

Chhota Shakeel Hello

Harish Sugandh Salaam valekum…

Chhota Shakeel Salaam, salaam….Kya haal hai Harish…Phone hi bandh kar diya yaar…Kya baat hain?

Harish Sugandh Phone bandh nahin… woh tap hota hain naa…

Chhota Shakeel Achcha, achcha, achcha…

Harish Sugandh Woh pata hain naa, mein leke bhi gaya tha usko ek din

Chhota Shakeel Achcha, achcha, achcha…

Harish Sugandh Haan haan, abhi Nasik mein hoon…

Chhota Shakeel Woh kidhar hain Afzal?

Harish Sugandh Afzal abhi ghar pe hain naa

Chhota Shakeel Achcha

Harish Sugandh Woh Bombay mein hain naa…uski shooting

Chhota Shakeel Usko bolna… message dena mereko phone kare

Harish Sugandh Usko parso se ek shooting hain naa

Chhota Shakeel Achcha, phir bhi bolna mereko phone kare… raat ko message chhod dena usko…

Harish Sugandh Abhi chhod deta hoon

Chhota Shakeel Abhi chhod dena… bolna ho sake to kal phone pe baat kare

Harish Sugandh Chhodta hoon

Chhota Shakeel Thik hain

Harish Sugandh Ok

Chhota Shakeel Haa dena usko



(Harish once again hands over the phone to Sanjay)



Harish Sugandh: Ji bhai…

Chhota Shakeel Hmm, hmm… kya yeh kaisi gayi…

Sanjay Dutt Kaunsi?

Chhota Shakeel Nahin Lagi parso…

Sanjay Dutt Achchi gayi na Bhai…

Chhota Shakeel Achchi gayi naa…

Sanjay Dutt Bahut achchi

Chhota Shakeel Chalo mubarak mubarak

Sanjay Dutt Ji Bhai

Chhota Shakeel Director lucky hain

Sanjay Dutt Haa, Bhai ek minute ek minute baat karo bhai…



(Sanjay hands over phone to Harish)



Harish Sugandh: Hello

Chhota Shakeel Hello

Harish Sugandh Bhai, Harish bol raha hoon

Chhota Shakeel Haa haa

Harish Sugandh Achcha mera mobile number likh lena abhi

Chhota Shakeel Ek minute haa… ek minute

Harish Sugandh Haa

Chhota Shakeel Khali haa ya naa mein jawab dena… Woh seedha ho gaya kya abhi? hain saath mein?

Harish Sugandh Kaun?… nahin nahin woh to haich… woh bechara uska tension ho gaya dono ka wapis.

Chhota Shakeel Haan wohin pooch raha hoon

Harish Sugandh Bahut bada tension huela hai

Chhota Shakeel (giggles)…

Harish Sugandh Aur limit ke bahar…

Chhota Shakeel Achcha

Harish Sugandh Haa Sanju batayega dekhna… abhibhi uska phone ayega edhar

Chhota Shakeel Haa number do

Harish Sugandh 9821328945. Khali kabhi kabhi aise na...

Chhota Shakeel Nahin nahin agar aisa hain na… ki Suresh bolunga na to samajh jana

Harish Sugandh Haa haa

Chhota Shakeel Samjhe naa

Harish Sugandh Haan samaj gaya

Chhota Shakeel Waise mere number pe kahi se phone kar lena mereko

Harish Sugandh Haa karloonga main bas…

Chhota Shakeel Waise to main karooga nahin kabhi

Harish Sugandh Nahin nahin

Chhota Shakeel Kabhi kaam hoga to hi…

Harish Sugandh Haji haji

Chhota Shakeel Tension mat lena ke…

Harish Sugandh Nahin

Chhota Shakeel Ke main tum logo ko harassment kar raha hoon

Harish Sugandh Zindagi mein nahin… mujhe maloom hain bhai

Chhota Shakeel Hum log dusro ki tarah nahin hain yaar

Harish Sugandh Nahin nahin mujhe maloom hain…

Chhota Shakeel Samajh gaye na

Harish Sugandh Ha mujhe maloom hain sab

Chhota Shakeel Chalo kabhi koi baat hogi

Harish Sugandh Haa

Chhota Shakeel Jara Isme… Wohi yehin baat hogi…

Harish Sugandh Ha wohi wohi… agar tumko mere bare mein koi kuch bole to mereko phone kar dena

Chhota Shakeel Are yaar ek baat suno…

Harish Sugandh Haan haan

Chhota Shakeel Jab ek bar hum log kisise relation rakhte hain na…

Harish Sugandh Haji haji…

Chhota Shakeel To uski das baate ati hain na … to bhi hum log usko forget karte hain

Harish Sugandh Bas bas, thank you Bhai… Samjhe naa…

Chhota Shakeel Haji haji... aur humko logo ko darane ka ya hairan karne ka shauk nahin hain bhaiya

Harish Sugandh Maloom hai Bhai

Chhota Shakeel Hmm hmm… Achcha yeh Devdas kiski hain tumhare bhai ki hain?

Harish Sugandh Nahin nahin, humne chhod diya… Humne pehle se hi chhod di hui hain …kya hua?

Chhota Shakeel Hmm hmm… mujhe khali haan ya na mein jawab dena… Usme Saleem ka involvement hain?

Harish Sugandh Kiska?

Chhota Shakeel Saleem ka…

Harish Sugandh Uska apna Bharatbhai ka hai… Bharatbhai Shah ka…

Chhota Shakeel Nahin nahin.. Saleem ke saath mein ya Bharat bhai ka saath mein hain?

Harish Sugandh Bharatbhai ke saath mein hain

Chhota Shakeel Saleem nahin hain usme?

Harish Sugandh Nahin nahin Bharatbhai 100 per cent hain

Chhota Shakeel Nahin mereko usse kuch lena dena nahin, khali iske bare mein puchna tha… Saleem ka involvement to nahin hain na usme!

Harish Sugandh Nahin Bharatbhai ka hain… Kyon ki woh (Saleem) overseas maang raha tha to usse mereko maloom padaa

Chhota Shakeel Achcha

Harish Sugandh Aur mereko Sanjay yeh log… Woh apna Kaun hai Sanjay Leela Bhansali…. Usko to out hi kar diya na hum logo ne

Chhota Shakeel Achcha, achcha, achcha, mein yeh suna tha Bhansali ke saath saath Saleem ka bhi involvement hain… Woh picture mein… Aisa kuch hain...

Harish Sugandh Nahin Sanjay Leela to usko janta bhi nahin hoga…

Chhota Shakeel Achcha. achcha…

Harish Sugandh Total Bharatbhai present hain… unka set lagaa hain… shooting bhi chal rahi hain na

Chhota Shakeel Achcha, achcha, achcha… nahin khali yeh inquiry karni thi

Harish Sugandh Bhai phirbhi kuch hoyega to batayega…

Chhota Shakeel Thik hain waisa apne tak hi rakhna…

Harish Sugandh Haa haa confirm 100 percent

Chhota Shakeel Hmm…

Harish Sugandh Hoyega to main do-teen din mein try karega na sab

Chhota Shakeel Thik hain

Harish Sugandh Inquiry karke…

Chhota Shakeel Thik hain

Harish Sugandh Aur usse baat hui ki nahin?

Chhota Shakeel Kisse?

Harish Sugandh Woh motay se

Chhota Shakeel Nahin usse nahin… khali issi se… usse mein mere dhang se karoonga naa

Harish Sugandh Theek hain, theek hain

Chhota Shakeel Woh to main field kharab kar doonga… Fikar nahin karo

Harish Sugandh Ok, ok, ok

Chhota Shakeel Aur mera gussa jo hota hai… woh slow poison hota hain…

Harish Sugandh Achcha, achcha, achcha…

Chhota Shakeel Ekdam nahin…jo shehad se marta hain usko zehar nahin dena yaar.

(Harish laughs)

Chhota Shakeel Samajh gaye ke nahin…

Harish Sugandh Haa samajh gaya…

Chhota Shakeel Bas mein mere dhang se karoonga… tum logo ka tension door karo… Tum log bas dua karo… tum log thodi help karo to industry se yeh gandagi hat jayegi…

Harish Sugandh Are bas mazaa aa jayega… yeh gandagi khatam ho jayegi na to bahut mazaa ayega

Chhota Shakeel Ho jayegi, ho jayegi

Harish Sugandh Wo zyada hi gandagi ho gayi na

Chhota Shakeel Ho jayega bhaiya wo kya hai… dekho ek baat suno…

Harish Sugandh Hmm hmm…

Chhota Shakeel Tum logo ki wajeh se hi yeh hua hai yeh…

Harish Sugandh Haa maloom hain

Chhota Shakeel Haa yeh bhai wo bhai…. are wo aa gaya… chalo thik hai paanch nahin das deta hoon… do nahin paanch deta hoon… nahin samjhe…

Harish Sugandh Haa samaj gaya bhai…

Chhota Shakeel Usme yeh ho jata… ek link ban jati hain… woh ho jata hain na

Harish Sugandh Haa correct, correct bol rahein hain aap

Chhota Shakeel Ek trend ho jata hain

Harish Sugandh Yeh agar saaf ho jata hain na… mazaa aa jayega life mein…

Chhota Shakeel Mein bata raha hoon na… ho jayega…

Harish Sugandh Industry itne satyanash hui hai

Chhota Shakeel Haa haa

Harish Sugandh Abhi hui hain recently… bahut hi huan hain…

Chhota Shakeel Achcha, achcha…

Harish Sugandh Pehle kabhi nahin tha…

Chhota Shakeel Haa recent… Mujhe bahut khabar aa rahi hain ek mahine se

Harish Sugandh Haan haan

Chhota Shakeel Yeh phone, woh phone, yeh sign karde, woh sign karde…

Harish Sugandh Haa, haa, warna kabhi nahin tha…

Chhota Shakeel Haa, haa, haa

Harish Sugandh Kisiko pata bhi nahin chalta tha

Chhota Shakeel Haa Haa… nahin nahin ho jayega ho jayega…

Harish Sugandh Hum apke paas hi hain… aap jo karenge aap hi kar sakte hain

Chhota Shakeel Nahin nahin... sab thikho jayega fikar nahin karo…

Harish Sugandh Haa

Chhota Shakeel Gandagi saaf ho jayegi

Harish Sugandh Haa ekdum…

Chhota Shakeel Samjhe naa…

Harish Sugandh Jo bhi hum aapke saath hi hain

Chhota Shakeel Haa

Harish Sugandh Ha aap kabhi bhi boliye…

Chhota Shakeel Ha

Harish Sugandh Jo bhi hain… aap hi humko madat kar sakte hain… bahut problem ho rahi hain…

Chhota Shakeel Nahin sab problem door ho jayegi…

Harish Sugandh Thank you Bhai…

Chhota Shakeel Fikar nahin karo… Khali dua karo sab thik ho jayega… Ek baat yad rakhna… dekho Zalim jyada din nahin chalta… Uski hawa badi garam hoti hai

Harish Sugandh Hmm hmm…

Chhota Shakeel Lekin woh kus mein nikal jati hain na

Harish Sugandh Hmm

Chhota Shakeel Wo pata nahin chalta hain

Harish Sugandh Nahin wo to hain hi

Chhota Shakeel Aisa Zalim hota hai… abhi yeh dekho isne khali dekhane ke liye Deepak ke bhai ne… Bulake… begunah khud ke aadmi ko maar diya…

Harish Sugandh Haa, Haa

Chhota Shakeel Wo to tumhare paas bhi report ayi hogi

Harish Sugandh Gadbad hain na, paper mein aya na sab…

Chhota Shakeel Kya…

Harish Sugandh Paper mein aya na jo… usne kuch khabar di thi aisa… kuch

Chhota Shakeel Aare nahin yaar nahin…

Harish Sugandh Nahin sab jhoot hain

Chhota Shakeel Actually market se unko extortion money nahin mil rahi hai

Harish Sugandh Achcha, achcha, achcha…

Chhota Shakeel Abhi kya kare… abhi ek baat batao... bada kaam karne ki jarurat… bada kaam kya… wo to ek bichara barwala tha aur ek driver tha

Harish Sugandh Haa haa usko…

Chhota Shakeel Unnecessary begunahon ko…

Harish Sugandh Begunahon ko to bahut…

Chhota Shakeel Rang late hain na

Harish Sugandh Hmm, hmm

Chhota Shakeel Dekhna kaisa rang layega

Harish Sugandh Nahin… nahin begunahon ko to bahut galat kiya

Chhota Shakeel Bola na Zalim ki hawa garam rahetin hain

Harish Sugandh Haa barabar

Chhota Shakeel Lekin thandi kab ho pad jati kisiko maloom bhi nahin padta

Harish Sugandh Barabar

Chhota Shakeel Haaa uski fikar nahin karo

Harish Sugandh Haa ek minute, haa, Sanjay ko deta hoon... Aur baki khairiyat naa…

Chhota Shakeel Bas first-class…

Harish Sugandh Khuda hafiz haa…

Chhota Shakeel Haa



(Harish Sugandh gives phone to Sanjay)



Sanjay Dutt: Ji Bhai

Chhota Shakeel Haa aur...

Sanjay Dutt Bas first-class Bhai

Chhota Shakeel Aur apni kabhi shuru hogi

Sanjay Dutt Ji…

Chhota Shakeel Apni kabhi shuru hogi…

Sanjay Dutt December mein

Chhota Shakeel Achcha, achcha

Sanjay Dutt Ji ji bhai

Chhota Shakeel Ek minute haa… (speaks on another phone)

Chhota Shakeel Achcha, yeh number…253 wala number diye the…

Sanjay Dutt Ji… Haa bheja tha aapke paas

Chhota Shakeel Achcha, achcha…

Sanjay Dutt Yaha ka hi hain bhai…

Chhota Shakeel Achcha, achcha. Abhi is number pe ho

Sanjay Dutt Ji… Aur Bhai

Chhota Shakeel Bas thik hai bhaiya aur sunao

Sanjay Dutt Bas first-class hai… Aapke do fan baithe hai yahan pe… unse baat kar lo

Chhota Shakeel Kaun hain

Sanjay Dutt Sanjay Gupta hain ek. Aur ek Mahesh Manjrekar… Ek minute baat kar lijiye



(Sanjay Dutt passes phone to Sanjay Gupta)



Chhota Shakeel: Ha

Sanjay Gupta: Hello

Chhota Shakeel Hello

Sanjay Gupta Abhi jaa rahe hain Shirdi

Chhota Shakeel Achcha, achcha

Sanjay Gupta Ha ji… baki mehnat kar rahe hain…

film bana rahe hain…

Chhota Shakeel Hmm, Hmm… thodi mehnat karo yaar, banate hoon tum achchi lekin thoda gadbad kar jate ho

Sanjay Gupta Hmm, hmm… Abhi pura full concentration ke bad kar raha hoon

Chhota Shakeel Nahin, vaise continuity ho na…

Sanjay Gupta Ji

Chhota Shakeel Beech mein jo scene cut ho jate hain na…

Sanjay Gupta Haji, haji…

Chhota Shakeel Usme thoda mixing mein dhyan rakho

Sanjay Gupta Je haan, karoonga bhai

Chhota Shakeel Vaise continuity teri achchi hoti hain…

Sanjay Gupta Ha ji

Chhota Shakeel Aur lete ho script bada achcha…

Sanjay Gupta Ji ji, abhi nayi wali mein kaam kar rahan hoon… Sanju ke saath hi… Amitji bhi hain…

Chhota Shakeel Achcha, achcha

Sanjay Gupta Bahut achcha iska kaam chal raha hain

Chhota Shakeel: Kaun hai… matlab naam kya hai…

Sanjay Gupta Picture ka naam?… Kaante…

Chhota Shakeel Yeh to Bobby ki hain na

Sanjay Gupta Ha… nahin nahin, yeh to meri film hain

Chhota Shakeel Isme to Bobby ka involvement hain meine sunaa

Sanjay Gupta Nahin uska 33 per cent hai khali profit mein

Chhota Shakeel Profit mein?

Sanjay Gupta Ha matlab profit aur loss mein vaise 33 per cent partner hai… naam ka hain woh

Chhota Shakeel Kyon rakha hai, Saleem ke wajeh se?

Sanjay Gupta Nahin, nahin

Chhota Shakeel Phir 33 per cent usko kis baat ka dena hain?

Sanjay Gupta Nahin pehle to mein akela tha… mereko to kuch pata bhi nahin tha kisika … yeh mil gaya mereko… merko isne sign kiya tha… maine isko bola tha ki main apni company shuru kar raha hoon… to usne bola mein tumko help karta hoon financially… to usme mein apna 33 per cent rakhoonga. Abhi to maine woh bhi out karwa diya kyonki abhi Bharatbhai kar rahe hain sab

Chhota Shakeel Achcha, achcha

Sanjay Gupta Aur usme produce aur direction mera hi hain

Chhota Shakeel Achcha... uska involvement nahin hai na

Sanjay Gupta Nahin, nahin… bilkool nahin abhi to Bharatbhai ne pehle wohi condition rakha

Chhota Shakeel Ha, ha

Sanjay Gupta Ha ji

Chhota Shakeel Koibhi cheez ki… Koi bhi baat ki zaroorat ho to batana…

Sanjay Gupta Ji zaroor Bhai, main aapke pass hoon…

Chhota Shakeel Number iske pass le lena, koi bhi tension kisika bhi koi tension… Koi baat ho to baitha hoon mein

Sanjay Gupta Ji Bhai, thank you very much…

Chhota Shakeel Phone kar lena, fikar nahin karna…

Sanjay Gupta Main to bas Baba ke through aapke paas hi aoonga

Sanjay Gupta Nahin nahin fikar nahin karna... dekho ek baat suno, hum logo ko… tum logo ko hairan karke koi matlab nahin banta yaar

Sanjay Gupta Ji Bhai…

Chhota Shakeel Samaj mein aya ki nahin…

Sanjay Gupta Ha ji ha ji

Chhota Shakeel Hum log tum logo se koi madat nahin mangte.. Sirf yeh bolte hain ke kisi jagah pe koi co-operate kar lena

Sanjay Gupta 100 per cent Bhai

Chhota Shakeel Baki to yaar dekho humko to samajh mein ata hain ke tum businessman log ho

Sanjay Gupta Ji

Chhota Shakeel Tumko hairan kar diya… tumko karke kya milega…

Sanjay Gupta Nahin nahin….

Chhota Shakeel Humko to usko darane ko mazaa aati hai jo humare liye challenge banta hai…

Sanjay Gupta Are baap re…

Chhota Shakeel Samaj mein aya ki nahin…

Sanjay Gupta Ji ji ji

Chhota Shakeel Hum log normal logo pe haat nahin dalte yaar

Sanjay Gupta Ha ji

Chhota Shakeel Aur kuch bhi hoga to Harish ko bol dena nahin to baba ko bol dena…

Sanjay Gupta Ha Sethji hain… Baba hai bilkul Bhai…

Chhota Shakeel Kabhi bhi aadhi raat ko...

Sanjay Gupta Ha ji jaroor…

Chhota Shakeel Jara isko dena…

Sanjay Gupta Haa ek minute



(Passes phone to Sanjay Dutt)



Sanjay Dutt: Ji Bhai

Chhota Shakeel Aur…

Sanjay Dutt First-class Bhai

Chhota Shakeel To woh picture achchi gayee Manjrekar ki?…

Sanjay Dutt Achchi gayee…

Chhota Shakeel Achcha, achcha, very good, very good

Sanjay Dutt Usse baat karo na bhai… ek minute, ek minute…



(Passes phone to Mahesh Manjrekar)



Mahesh Manjrekar: Salaam walekum. Mahesh bol raha hoon

Chhota Shakeel Ha ha kya haal hai?

Mahesh Manjrekar Bas first-class…

Chhota Shakeel Hmm, hmm, achchi picture banate ho. Dekha hai… yeh parso release hui … abhi tak dekha nahin… time nahin mil raha hain…

Mahesh Manjrekar Kurukshetra…

Chhota Shakeel Haa haa…

Mahesh Manjrekar Mereko ko aur ek film banani hain… mereko Sanjay ne bola tha aapki story ke upar ek film banani hain…

Chhota Shakeel Achcha, achcha, achcha… jald hi fursat mein baat karenge is mamle par…

Mahesh Manjrekar 100 per cent, mereko sacchi magnta hain story…

Chhota Shakeel Ha ha bilkul bilkul mein de doonga, do char sequence de doonga…

Mahesh Manjrekar: Kyon ki meine abhi tak sab realistic picturey banayi hai… Vaastav bhi… Kurukshetra bhi aur Astitva bhi… Ek film banani hai sacchi…

Chhota Shakeel Ha banyenge saath mein banayenge… no problem… kaam tayyar karo…

Mahesh Manjrekar Ha

Chhota Shakeel Pura cooperate karoonga…

Mahesh Manjrekar 100 per cent… Mereko khali ek story de do, mein phir uska screenplay banaoonga, phir aapko sunaunga…

Chhota Shakeel Nahin kis tarah ki story chahiye…

Mahesh Manjrekar Haa apki life-story banani hai mereko…

Chhota Shakeel Achcha

Mahesh Manjrekar Phir agar aap batayenge na to mein usko screen pe batoonga… apko sunaunga pehle… agar aap bolenge banao to banayenge

Chhota Shakeel Theek hain theek hain

Mahesh Manjrekar Ha 100 per cent banana chahta hoon

Chhota Shakeel Haa, haa, haa, aur kya haal hain…

Mahesh Manjrekar Bas first-class sir…

Chhota Shakeel Koi bhi baat ho koi zaroori kaam ho to bol dena…

Mahesh Manjrekar 100 per cent Bhai…

Chhota Shakeel Haa to kabhi bhi aadhi raat ko bhi mein haazir hoon aap logo ke liye… fikar nahin karna…

Mahesh Manjrekar 100 per cent Bhai…

Chhota Shakeel Haa dena usko…

Mahesh Manjrekar Ek minute haa



(Passes phone to Sanjay Dutt)



Sanjay Dutt: Ji Bhai

Chhota Shakeel Afzal saath mein nahin… kya baat hai?

Sanjay Dutt Afzal ki shooting hai bhai…

Chhota Shakeel Achcha kal se…

Sanjay Dutt Parso se…

Chhota Shakeel Parso se… Achcha…

Sanjay Dutt To meine usko bola tu aja to bolta hai nahin aoonga

Chhota Shakeel Achcha

Sanjay Dutt Meine bola ek secret hain bhai… mein apko bataoonga ek din…

Chhota Shakeel Achcha, achcha… l*****, l***** kisi ladki ke saath

Sanjay Dutt SK...

Chhota Shakeel Kiske saath?

Sanjay Dutt SK… (both laugh)

Chhota Shakeel Tauba yaar

Sanjay Dutt Kasam khuda ki bhai kasam khuda ki

Chhota Shakeel Usko bolne ka bakre ka gosh khane ki zaroorat hi kya hai… bakri ki milti hai…

Sanjay Dutt Bhai agar baat hogi to wo mujhe pachaso gali dega…

Chhota Shakeel Achcha

Chhota Shakeel Kuch chahiye yahan se?

Sanjay Dutt Nahin Bhai. Bhai jo aapne bheja hain na, woh kamaal

Chhota Shakeel Achcha

Sanjay Dutt Ji Bhai

Chhota Shakeel Nahin aur rahega na to main bhej doonga fikar nahin karna

Sanjay Dutt Bhai aapne jo Afzal ko bheja hain na, vaise ek bhejo na mereko yaar

Chhota Shakeel Kaunsa wala?

Sanjay Dutt Kamaal ka bheja hain…brown wala ek

Chhota Shakeel Achcha

Sanjay Dutt Brown chowkdi wala

Chhota Shakeel Brown chowkdi wala achcha, woh crocodile ka hain woh

Sanjay Dutt Nahin crocodile nahin hain yaar

Chhota Shakeel Phir?

Sanjay Dutt Plain hain poora

Chhota Shakeel Brown chowkdi wala, chalo theek hain, haan main samajh gaya

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Haan main samajh gaya, samajh gaya

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Rust colour hain

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Thoda rust colour hain

Sanjay Dutt Haan Bhai, haan ji ji ji

Chhota Shakeel Nahin to main khud hi gaya tha lene

Sanjay Dutt Achcha Bhai

Chhota Shakeel Haan khud hi lekar aaya tha

Sanjay Dutt Achcha, achcha

Chhota Shakeel Mere liye bhi lena tha

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Ek aapne le liya tum logon ke liye… unke bhi pade huye hain abhi kya naam hai uska

Sanjay Dutt Kaun?

Chhota Shakeel Nahin nahin nahin

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Aditya Panscholi

Sanjay Dutt Achcha

Chhota Shakeel AP

Sanjay Dutt Achcha Bhai, woh Govinda bahut bada c***** hain Bhai

Chhota Shakeel Haan maloom hai mereko

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Abhi isne Dubai kiya tha na?

Sanjay Dutt Achcha achcha achcha

Chhota Shakeel Haan to mereko permission liya tha, bole yaar main kar raha hoon Bhai

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Koi mereko ungli nahin kare, main bola chal achcha kar le, koi karega nahin, kuch hoyega to mera naam le lena

Sanjay Dutt Achcha, achcha

Chhota Shakeel To shaayad kiya hoga pata nahin kya hain

Sanjay Dutt Ji Bhai

Chhota Shakeel Apun poochna nahin chahte yaar, aadmi apna khaata hain kamaata hain, koi kya poochenge

Sanjay Dutt Sahi baat hai

Chhota Shakeel Sabki apni woh hai

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Aur kya chal raha hain?

Sanjay Dutt Aur first-class Bhai

Chhota Shakeel Yaar yeh to bada khushi hui ho Missionwali se

Sanjay Dutt Achcha laga aapko

Chhota Shakeel Woh Chikne ki maar diya hain ekdam first-class

Sanjay Dutt Bachcha hain na Bhai

Chhota Shakeel Woh bachcha hi raha na

Sanjay Dutt Bilkul Bhai

Chhota Shakeel Haan haan haan, nahin bahut mashallah bada achcha kiya

Sanjay Dutt Bhai main T-shirt liya hoon aapke liye

Chhota Shakeel Achcha, achcha

Sanjay Dutt Woh Appi bolta hain kya aap T-shirt pehenke nikalte haan achcha lagta hain

Chhota Shakeel Haan, main jyadatar T-shirt pehenta hoon

Sanjay Dutt Haan to main leke aaya hoon

Chhota Shakeel Haan haan

Sanjay Dutt Kahan pe doon?

Chhota Shakeel Appi ko de dena. Appi ko main bol doonga kahan dena hain

Sanjay Dutt Theek hain Bhai

Chhota Shakeel Samjhe na. Aur sab theek hain na

Sanjay Dutt Ekdam first-class Bhai

Chhota Shakeel Haan haan, ek minute chalu rakhna (Talks to someone) Hello

Sanjay Dutt Ji Bhai

Chhota Shakeel Haan haan, aur kya haal hai

Sanjay Dutt First-class Bhai

Chhota Shakeel Woh Chikna to nahin mila tha na

Sanjay Dutt Nahin bilkul nahin

Chhota Shakeel Acchha achcha

Sanjay Dutt Main boss ko bola bhi tha London mein

Chhota Shakeel Haan haan

Sanjay Dutt Milta hi nahin who

Chhota Shakeel In log, in log ke saamne nahin bolo. Hmm hmm yeh Mission to baith gayi na?

Sanjay Dutt Kahan baith gayi Bhai

Chhota Shakeel Chali?

Sanjay Dutt Arre Harish se poocho Bhai. Ek minute haan



(Harish Sugandh comes on the line)



Harish Sugandh: Hello

Chhota Shakeel Hello

Harish Sugandh Haan Bhai

Chhota Shakeel Mission ka kya report hain?

Harish Sugandh Suno, Mission ki to business to bahut extra mili hain

Chhota Shakeel: Achcha

Harish Sugandh Haan ekdum first-class

Chhota Shakeel Hmm hmm hmm

Harish Sugandh Ek do chhote chhote centre pe kharaab hain

Chhota Shakeel Hmm hmm hmm

Harish Sugandh Baaki to Bombay mein to extra mile usi to

Chhota Shakeel Haan haan haan woh Chikna grade dekha thoda

Harish Sugandh Kiska?

Chhota Shakeel Woh kya naam hain uska... Hrithik

Harish Sugandh Haan haan uska to hain

Chhota Shakeel Haan haan

Harish Sugandh Lekin, lekin yeh Sanju bahut top ho gaya hain na

Chhota Shakeel Haan haan, usne to ismein jaan daal di hain

Harish Sugandh Ismein aur woh usmein dono mein

Chhota Shakeel Haan haan, woh dekha nahin main, dekhoonga abtak na

Harish Sugandh Kurukshetra dekhe aap?

Chhota Shakeel Nahin dekha nahin, hmm dekhoonga ab

Harish Sugandh Usmein Sanjay ko dekho khaali

Chhota Shakeel Achcha achcha

Harish Sugandh Haan haan, extra aur theatre mein unko dekha naa clapping har dialogue par haan

Chhota Shakeel Hmm hmm

Harish Sugandh Samjho Vaastav jaisa hi hain

Chhota Shakeel Achcha achcha

Harish Sugandh Haan haan

Chhota Shakeel Hmm hmm, usko bolna woh to Manjrekar bhangi ka thodi tha, woh to shot hum logon ka tha

Harish Sugandh (Laughs)

Chhota Shakeel Aap logon ne hi dikhaya tha naa… woh to bill phaad diya tha uske naam pe

Harish Sugandh Nahin nahin, woh bolta aap ke upar bahut bolta, ek pakka picture mein aapka phone uthane ke pehle hi woh decide kar raha tha, maine bola abhi mat kar, abhi thoda garam hain, thoda thanda hone de maamla

Chhota Shakeel Hum log sequence dete hain, Bangkok vali bolna

Harish Sugandh Haan haan. Wohi haan main bola, poora sequence tujhe milne wala hain

Chhota Shakeel (Both laugh) Dena dena usko thoda Manjarekar ko

Harish Sugandh Haan ek minute



(Mahesh Manjarekar comes on the line)



Mahesh Manjrekar: Haan haan Bhai

Chhota Shakeel Woh Panvel wala shot tha na woh

Mahesh Manjrekar Haan

Chhota Shakeel Woh paanch murder ka bataaya jo tum logon ne

Mahesh Manjrekar Haan

Chhota Shakeel Woh jo ek saat murder hoye the na

Mahesh Manjrekar Haan

Chhota Shakeel Woh van ke ander

Mahesh Manjrekar Haan

Chhota Shakeel Woh to hum logon ki hi sequence thi na

Mahesh Manjrekar Maloom hain na, maloom hai, maloom hai Bhai

Chhota Shakeel Hmm hmm Bangkok wala doonga na

Mahesh Manjrekar Main bola bhi unko

Chhota Shakeel Jaisa programme banaya hai

Mahesh Manjrekar Main sequence bataaya inko

Chhota Shakeel Achcha

Mahesh Manjrekar Haan maine pehele hi bataaya tha sequence to

Chhota Shakeel Hmm hmm, aisa terrific hai ke main samjha ke yaad karenge log

Mahesh Manjrekar Haan

Chhota Shakeel Samjhe na, jo planning hai na

Mahesh Manjrekar Nahin main bataaya tha abhi Sanju ko ataaya tha, bola tu abhi chup baith. Abhi mat bola abhi nahin kabhi to karoonga lekin

Chhota Shakeel Arre jaldi karenge. Tu fikar mat kar

Mahesh Manjrekar 100 per cent karta hoon

Chhota Shakeel Samjhe na

Mahesh Manjrekar 100 per cent karta hoon

Chhota Shakeel Haan haan, 2-4 aisa jabardast doonga na sequence jaan aa jayegi

Mahesh Manjrekar Ek minute Sanjay bataayega usko bataaya hain main sequence



(Sanjay comes on line)



Sanjay Dutt: Bhai

Chhota Shakeel Haan

Sanjay Dutt Yeh dar raha hain, ek minute baat karo



(Sanjay gives phone to Mahesh Manjrekar)



Mahesh Manjrekar: Dekho maine bataaya tha, beginning huyi hai

Chhota Shakeel Achcha

Mahesh Manjrekar Ki something August... mereko date yaad nahin hai 2000 Thailand mein

Chhota Shakeel Haan haan

Mahesh Manjrekar — Phir dissolve hota hai, — ka

Chhota Shakeel Haan haan

Mahesh Manjrekar Gaadi nikalti hain udhar jaati hai

Chhota Shakeel Hmm hmm

Mahesh Manjrekar Ghar mein aati hain

Chhota Shakeel Hmm hmm

Mahesh Manjrekar Aur darvaze andar ek jan bolta hain, arre kidhar tha bahut late ho gya, to bolta hain nahin nahin, traffic bahut thi

Chhota Shakeel Achcha achcha

Mahesh Manjrekar To khaana khayenge? Uski wife poochti hai

Chhota Shakeel Hmm hmm

Mahesh Manjrekar To phir nahin nahin yaar, bahut garmi hain mein peeoonga beer, khulti vaise hi sab phone chaalu hote hain, satellite yeh woh bolte, le daal B****** se, le daal matlab mila me woh aur certain ki do teen gaadiya aaj hi udhar

Chhota Shakeel Hmm hmm

Mahesh Manjrekar To mereko actually true story aapse mangti hai

Chhota Shakeel Arre, true story jo hain na perfect main de doonga kis tarah hum log aage gaye

Mahesh Manjrekar Haan

Chhota Shakeel Kya planning kiya aur kitne time se planning ki

Mahesh Manjrekar Haan?

Chhota Shakeel Aur kaisa upar gaye kaisa capture kiya total

Mahesh Manjrekar Hmm

Chhota Shakeel Samjhe na?

Mahesh Manjrekar Mereko maangta hai kyonki ekdam realistic level pe karne ka

Chhota Shakeel Nahin nahin, woh real vaak dikhayega to main samajhta hoon, uthega nahin koi

Mahesh Manjrekar Haan

Chhota Shakeel Ke aisi bhi planning hoti hain na

Mahesh Manjrekar Baraabar hai

Chhota Shakeel Samjha ke nahin?

Mahesh Manjrekar Hmm

Chhota Shakeel Aur bilkul doonga main. Aaramse doonga

Mahesh Manjrekar 100 per cent main loonga aapse, kyonki mereko banaani hain film ekdum

Chhota Shakeel Woh bhi doonga aur — bhi

Mahesh Manjrekar Woh bhi maangta hai mereko

Chhota Shakeel Use bhi hum logo ne kaafi mehenat ki thi

Mahesh Manjrekar Ji haan

Chhota Shakeel Woh bhi bataaoon main, aise bahut kaam hai yeh to yaar hum logon ne to isko khaali bill phaadne sikhaya tha, counter pe

Mahesh Manjrekar Baraabar hain

Chhota Shakeel Kaam to saari mehenat hum logo ki hoti thi

Mahesh Manjrekar Baraabar hain

Chhota Shakeel Chalo theek hai phaado bill iske naam pe to saara naam iska aata tha

Mahesh Manjrekar Baraabar hain

Chhota Shakeel Samjhe na?

Mahesh Manjrekar Baraabar hai Bhai

Chhota Shakeel Theek hai, chalo itna hone ke baad bhi hum logon ne usko

Mahesh Manjrekar Baraabar hain

Chhota Shakeel Achcha iska abhi — ka to tension nahin hain na tum logo ko?

Mahesh Manjrekar Nahin nahin nahin

Chhota Shakeel Achcha, woh theek hain ladka, woh bachcha hain ghar ka

Mahesh Manjrekar Baraabar hain

Chhota Shakeel Usse hum ko kuch matlab hain nahin, samjhe na?

Mahesh Manjrekar Baraabar hain baraabar hain

Chhota Shakeel Aur kuch hoga to bataana mujhe

Mahesh Manjrekar 100 per cent Bhai

Chhota Shakeel De na usko

Mahesh Manjrekar Haan haan ek minute



(Sanjay Dutt resumes conversation)



Sanjay Dutt: Ji Bhai

Chhota Shakeel Aur kya haal hain

Sanjay Dutt First-class Bhai

Chhota Shakeel Haan to theek hain abhi rahoge ya nikloge?

Sanjay Dutt Main jaoonga — kal subah

Chhota Shakeel Achcha subah nikloge

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Achcha, to Bombay kab pahunch rahe ho? Parson?

Sanjay Dutt Kal raat ko, Bhai

Chhota Shakeel Parson shooting hain na?

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Hmm hmm hmm

Sanjay Dutt Ji Bhai

Chhota Shakeel To abhi ismein kya kar rahen hain? Main apna wala saath mein kisko le raha hain?

Sanjay Dutt Kaun?

Chhota Shakeel Yeh

Sanjay Dutt Nahi solo hain na Bhai

Chhota Shakeel Kisko le rahen hain

Sanjay Dutt Mujhe hi le rahen hain

Chhota Shakeel Nahin, nahin, saamne do rakha hain na

Sanjay Dutt Achcha

Chhota Shakeel Aur usme

Sanjay Dutt Pata nehi Bhai

Chhota Shakeel Han, han

Sanjay Dutt (pauses) Do piya hua hoon is waqt

Chhota Shakeel Han, han, han. Achcha chalo aaram se parson baat karoonga. Theek hain? Maje karo. Chalo theek hain

Sanjay Dutt Nahin, nahin, Bhai, aap baat karo.

Chhota Shakeel Hmm, Hmm

Sanjay Dutt Ji Bhai

Chhota Shakeel Nahi, nahi, agar usko chase karna hain to maine usko bola bhi tha aage se

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Agar kuch ho to, pooch lena, matlab tumhare ko kaisa karna hain, kaisa nahi hain

Sanjay Dutt Nahi, itna bada c****** hain woh Govinda

Chhota Shakeel Haa, haa

Sanjay Dutt Ata hi nahin, main kaam kar rahan hun uske saath

Chhota Shakeel Haa, haa

Sanjay Dutt Do baje, nau baje a seat pe do baje ye dekhiye

Chhota Shakeel Achcha kispe yeh jodi number do pe?

Sanjay Dutt Haa, Bhai

Chhota Shakeel Achcha

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Ha, ha, ha, nahin, nahin, apne isme to barabar aayega woh

Sanjay Dutt (Laughs)

Chhota Shakeel Nahin, nahin, asal mein main kahin phone hi nahi kar raha hun, woh tum logon ko bhi

pata hain, barabar hain?

Sanjay Dutt Ji, Bhai

Chhota Shakeel Phir abhi yeh nange ki baat dekh lo, yeh khud ka payment tha. Maine aur saamne se kara diya. Main bola nahin, dil nahin tutna chahiye kisika

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Samjhe kya nahin?

Sanjay Dutt Ji, Bhai

Chhota Shakeel Haan, yeh Bhai maine bola ki Tumhara bhi maine bola jo figure bolega, likh ke de dena, mana nahi karna

Sanjay Dutt Nahi Bhai, kya baat kar rahen hain? Ghar ki baat hain, kya baat kar rahe hain?

Sanjay Dutt Ji, Bhai

Chhota Shakeel Kahin jaroorat hoti hain na kabhi, to main baat karta hun. Kahin bhi suna hoga, maine na kabhi kisi heroine ko phone kiya hun, na kisiko phone kiya

Sanjay Dutt Ji, Bhai

Chhota Shakeel Who khali nange pehalwan to charbi chadi thi to maine phone kiya tha, bas

Sanjay Dutt Ji, ji

Chhota Shakeel Baki to sara kaam to bechare to usne hi sab pura sambhala hain

Sanjay Dutt Bilkul, bilkul

Chhota Shakeel Samjhe na

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Ab main herionon se kya baat karoon yaar

Sanjay Dutt Bhai, ek cheez boloon apko

Chhota Shakeel Hun, hun

Sanjay Dutt Woh chikna jo hain

Chhota Shakeel Hun, hun

Sanjay Dutt Karisma ko phone karke bolta hain ki t*** m** k* C***. Mere aadmi aake t*** m** c***** l* k* chale jayenge. B********* yeh kya hota hain Bhai

Chhota Shakeel Ha, ha, ha

Sanjay Dutt Ap sochiye abhi Bhai

Chhota Shakeel Bhai jyada din nahin hain

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Samajme aayaa ki nahin

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Bas ye dua karo lage huye hain

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Jyada din nahi hain, Abhi agar ye aa jata na

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel To Yeh samajhna ke tum logon ko khush khabri hi thi who

Sanjay Dutt Bilkul Bhai

Chhota Shakeel Samajh mein aaya ki nahi?

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Bas good news thi ki agar who tumse milne aa jata na

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel To dursre, teesre din, matlab usko trace kar hi lete hum

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Samjhe na?

Sanjay Dutt Ji, Bhai

Chhota Shakeel Bas Allah malik hain, chhod do

Sanjay Dutt Ji, Bhai

Chhota Shakeel Maine abhi usko yehi bola, Harish ko bola, Zalim ki hawa garam rahti hain

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Lekin kab nikalti hain pata hi nahi chalta

Sanjay Dutt Sahi baat hain

Chhota Shakeel Samjha na?

Sanjay Dutt Ji, Bhai, itni pareshani hain Bhai, kya boloon aap se

Chhota Shakeel Nahi, nahi, mereko pata hain

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Isliye main abhi zara laga hun

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Jawab doonga inshaallah, bahut jaldi jawad de doonga. Aur pura yeh Rizvi wala matter hain

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Chori wala, usme maine pure isme Nange ka siwa maine kisi dusre kisise baat hi nahi ki hain

Sanjay Dutt Ji, ji

Chhota Shakeel Woh bechara pura ka pura jo karne ka tha woh kiya

Sanjay Dutt Who bahut bada g**** hain Bhai woh

Chhota Shakeel Samajhna ha, ha, ha, arre woh abhi nikal hi nahin raha

Sanjay Dutt Hmm

Chhota Shakeel Abhi ek baat boloon, Preity, na mere namse hool diya woh logon ne

Sanjay Dutt Achcha, achcha

Chhota Shakeel Aur yahan ka number chhoda, main doosre din woh number trace karne gaya phir doosre din usne apne naam se baat karke yeh kya phir

Sanjay Dutt Achha achha

Chhota Shakeel Aur yahan ka number chhod diya koi duplicate, maine voh number pe check kiya, wo number tha hin nahin, number hin bandh aa raha tha woh

Sanjay Dutt Bhai do-teen number main aapko deta hoon

Chhota Shakeel Ha, ha

Sanjay Dutt Aaye hain

Chhota Shakeel Hmm

Sanjay Dutt Bhai kasam khuda ki, maine bola bhai aisa kar hin nahin sakte yaar

Chhota Shakeel Mere naamse

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Kiske paas

Sanjay Dutt Do-teen bhai. Preity thi ek to woh

Chhota Shakeel Nahin, nahin, Priety ko to maine Rizvi to message diya tha

Sanjay Dutt Nahin bhai, haal mein abhi

Chhota Shakeel Abhi

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Arre nahin, nahin, nahin, sawal hin paida nahi hota yaar

Sanjay Dutt Chopra ke paas hai

Chhota Shakeel Yaar maine bakaida interview diya hai paper mein, aur ek TV mein

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Woh Bhansali ka aur Chopra ka

Sanjay Dutt Ji achha

Chhota Shakeel Aur….

Sanjay Dutt Aap Chopra ka aur Harish ka kuch hain hin nahi usme

Chhota Shakeel Achha

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Nahi nahin wo Chopra ko bhi bolna — maine nahi kiya, kisine mere naam pe kiya honga

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Aur mereko wo number chahiye, number do mujhe

Sanjay Dutt Bhai kal parso phone karke apkon de doonga number

Chhota Shakeel Mereko yaadse number de dena, number kaun kaun se hain, samajh mein aaya ki nahi

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Ke mere aadmi hai ke mere namse koi kar rahe hai

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Preity ko bhi yaad se bolna ke maine nahin kiya

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Yaar, mein kabhi yaar aurat jaatse paisa mangaanewala hai nahi

Sanjay Dutt Bilkool nahin, bilkool nahin, wahi mein usko bola woh mere paas aayee thi

Chhota Shakeel Ha

Sanjay Dutt Maine bola, ho hi nahi sakta

Chhota Shakeel Nahin, second stage hai yaar, wo mere saath kaam kar rahi hain

Sanjay Dutt Ji

Chhota Shakeel Maine usko paisa diya ha Diya isliye thodi ke phone karke wapas mangaa loo

Sanjay Dutt Ok

Chhota Shakeel Ok good night



